Holi 2020 kab hai ?
Holi utsav 10 March
Holi Kyu Manaya Jata Hai ?
Holi manane Ke Piche bahut hi Bada Karan Hai Jiska zikr Hamari pauranik Katha mein sunane Ko milta hai.Hiranyakashyap Ne sari sambhav koshish Ki Jisse Ki Uske Putra Vishnu Bhagwan Ki Bhakti Ko Chod De Parantu Prahalad Ne Esa Nahi Kiya.
Sabhi Sambhav Koshis Puri Karne Ke Bad Hiranyakashyap ne Apne Putra Prahalad Ko Jaan Se Marne Ka Socha Jiske Karan Usne Apni Bahan Se Apne Putra Ko Jaan Se Marne Ka Agrah Kiya.
Hiranya kashyap ne Esa isliye Kiya Kyuki Uski Bahan Ko Bhagwan Mahadev Ne Vardan Me Ek Aisi Poshak Di Thi Jisse Hiranyakashyap Ki Bahan ( Jiska Nam Holika Tha ) Aag Me Kabhi Bhi Nahi Jalti Agar Wo Poshak Usne Oodh Rakhi Hogi.
Is Vardan Ke Karan holika ( jo hiranyakashyap ki bahan) Ne Socha
Ki me Agar Vishnu bhakt Prahalad ko god me lekar aag me beth jaau or khud Poshak Ko oodh lU to Prahalad Aag Se Jal Jayega Jisse Uski Mrityu Ho Jayegi.
Parantu Jaise Hi Holika Ne Aisa Kiya Turant Usi Mouke Par Vishu Bhagwan Prakat Huye Aur Hawa KE Jhoken Ko Utpann Karke Wo Poshak Prahalad Par Dal Di Or Holika Jo Prahalad ko Aag Me Lekar Bethi Hui thi Uske UPer Se Hat Gayi Or Isi Douran Holika Khud Aag Me Jal Gai ..Is Tarah Se Bhagwan Vishu Ne Prahalad Ke Prano Ki Raksha Ki Aur Holika Ka Aag me Jal Kar Dahan Ho Gya Isiliye ham Ise Dolika Dhahan Kahte Hai Jo Ki Burai Par Acchai Ki Jeet Hai.
Abhi Hamne Uper Ke Para. me Jana Holi 2020 Kab Hai ? Aur Holi Kyu Manayi Jati hai ?
Comments
Post a Comment