Namkar dosto jab bhi koi tyohar aata hai
to hamre bich ek khusi ki umange uthne lgti hai. Hamre desh me Diwali
or Holi ke tyohar badi hi khusi ke sath manaye jate hai. Holi ka tyohar
kyo manaya jata hai eske bare me hame jankari hona jaruri hai wase to
hame apne har tyohar ke bare me jankari honi jachiye taki ham use achi
se celebrate kr ske. Dosto samajikjankari.com ki aage bhi yhi kosis
rhegi ki ham aapko apne har tyohar ki ache se jankari de.
Holi ka tyohar aate hi viseskar Faag ke
din hum bhut hi moz masti karte hai. Holi ka tyohar kyo manaya jata hai
ekse piche vase to kafi tarah ki poranik kathaye hai. Lekin enme se
sabse jyada parchalit kha hai bhagat “ Parhlad or unke Pita Hirnkashyap
ki ktha ” to aaiye dosto jante hai ess ktha ke bare me or holi ka
tyohar kyo manaya jata hai eske bare me.
Holi Ka Tyohar Kyo Manaya Jata Hai
Dosto bagat parhlad ke pita ka naam
Hirnkashyap tha or ye apne aap ko bhagwan manta the. Ye sabhi logo ko
apni puja krne ke liye khte the or sabhi log enke dar se inko bhagwan
mante bhi the. Lekin enka beta Bhagat parhald hamesa se hi Shree Vishu
ke bhagat the or inki hi pooja kiya karte the. Bhagat parhald ko Shee
Vishnu ki bhagti karna inke pita Hirnkashyap ko acha nhi lgta tha or
Hirnkashyap hamesa Bhagat Parhlad ko yatnaye dete the liken Bhagat
parhlad ka apne bhagawan Shee Vishnu me atut biswas tha or Bhagat
Parhlad ne shree Vishnu ki bhagati karni nhi chodi.
Hirnkashyap ke dwara Bhagat Parhlad ko
bahut yaatnaye dene ke bad bhi jab Bhagat parhlad nhi mane to
Hirnkashyap ne Bhagat Parhald ko marne ki yojna banayi. Esse pahle bhi
Hirnkashyap Bhagat Parhlad ko marne ki kosis kar chuke the lekin esme vo
safal nhi ho paye.
En sabke bad Hirnkashyap ne Bhagat
parhlad ko marne ke liye apni bahan Holika se shayta lene ki sochi. Inki
bhan Holika ko bhagawan Shiv ne ye wardan diya tha ki vo kbhi bhi aag
me jal ni payegi uski marityu aag se nhi hogi ha lekin agr es doran kisi
purus ke sath tumhara saparsh ho jata hai to tumhari marityu ho skti
hai. Holika ko ye bardan milneke bad vo ess par ahnkar karne lagi usse
es bat ka ghamnd ho gya.
Hirnkashyap ne Bhagat Parhlad ko marne
ke liye Holika ko jalti hui cheeta me baitha diya or Holika ki god me
Bhagat parhlad ko rkh diya lekin Holika ko us bat ka dhyan ni rha ki Aag
me bathne ke doran kisi purus ke sath tumhara saparsh nhi hona chahiye
or ess doran Holika es chita me jal gayi or Bhagat Parhlad apni bhagti
ke karn bach gye. Dosto esi din se ham Holi banate hai eska matlab ye
hai ki hamesa burayi par achhayi ki hi jeet hoti hai.
Ess bat se Hirnkashyap or bhi gussa ho
gye or Hirnkashyap ne Bhagat parhlad ko kha ki tum khte ho ki tumhara
Bhagwan har jagh mozud hai to kya tumhara bhagwan es mitti ke Kahmbhe
(pillar) me bhi hai aaj mai tumhe or tumhare bhagwan ko dekhta hu tumhe
kon bachane aata hai.
Hirnkashyap ne ye sab bate kah kr ek
gadda us kahmbhe ko mari or usi doran us kahmbhe me se Bhagwan Vishnu “
Narsingh” ke rup me parkat ho gye matlab ki vo na hi to Nar (Aadmi) the
or na hi vo Singh (Sher) the. Bhagwan Vishnu ne aaisa rup es liye dharn
kiya kyoki Hirnkashyap ko vardan mila hua tha ki tumhari mot na hi to
koi Manusay kar skta na hi koi Janwar. Tumhari mot nahi ghr ke andar
hogi or na hi ghr ke bahar hogi. Tum na raat ko maroge or na hi din me.
Eske bad jaise hi bhagwan Vishnu ne
Narsingh ka rup dharn kiya to Hirnkashyap Bhagat parhlad ko marne ko
bhage lekin Bhagwan Vishnu ne Parhlad ko chuda liya or Hirnkashyap ko
pakd kr ghr ki dhliz par le gye jha par vo na to ghr ke andr the or na
hi ghr ke bahar. Bhagwan Vishnu ne Hirnkashyap ko aaise samay par mara
jab na to rat ti or na hi din.
Comments
Post a Comment